
Pyar kya hota hai, aaj hum janenge
Man ke is vehem ke sach ko, aaj panchanenge
Jab se hum is duniya mai aye hai, tab se hi pyar ke bhookhe hai
kisi ke jate jate par kya, pyar ke sarowar sukhe hai
Aaiye aaj apne khayalon me aap ko uljhate hai, pyar sach hai ya chalawa ye pahile suljhate hai.
Bachpan mai milta hai maa papa ka pyar jo sawan ki boondon jaisa hai, or doston ka sahara vasant ke phool ho vaisa hai
Kisi sathi ka mil jana mano sardi mai lagi chingari hai, ye sab mil Jane se lagta ke ye duniya kitni pyari hai.
Par ek baar sawan chala jata hai to bus yadeen hi reh jati hai, vo yaaden hume rula rula kar andar se todti jati
Vasant ke khatam par patjhar ka sama bhi to aata hai, sara sahara or kushi apne patton me daba le jata hai
Koi sathi bhi to hamesha sath nahi nibhata hai, or anth mai sardi ki chingari bhi bhuja kar jata hai.
Samasya to samne hai ab samadhan ki hai baari, dur kar do us cheez ko jo hai tum ko sabse pyari
Man ko kar ke kaaboo use maya se bahar nikalo, man ke sagar ko tum chintan se math dalo.
Man ko math kar tum sthirta ka ghee nikalo, or antaratma ko bhi sthir rakh kar jeevan ka satya samjha lo
Or anth mai sabse mehatvapoorn sabak bhi padh dalo, iswaar jisne tumhe banaya hai, tum un se preet laga lo