
Agar mai kal chala jau
Agar mai kal chala jau to tum gum na manana, khud ko sambhal lena,
man ko sach samjhana.
Agar mai kal chala jau, na dukhi hona, na aansu bahana, bas mere likhe ya
kahe geet apne man mai gunguana.
Haar na maan jana kabhi tum meri tarah, apne man mai apne dil mai dena mujhe jagah
Na sochna mere bare mai jyada, na rehna bilkul tanha,
mai khush hun wahan jahan ab mili hai mujhe panaah.
Maaf karna mujhe ki mai tumhara sath chhod gaya,
khai thi jo kasmen saath rehne ki vo sari kasmen tod gaya.
Par kya karun ab, rahi hogi majboori meri, ye dil mera ye fitrat meri,
Shayad yaad dilate honge teri
Par ab to mai teri yaad ban jaunga, bas tera ho jaunga, tujh mai hi mil jaunga.
Jab pata chale ki mai chala gaya hun, ek chhoti si rasam nibhana,
mere diye gulaabon ke sang meri saari yaaden bhi jalana.
Intezaar ab na karna mera, mai ab nahi aaunga,
na zyada ab bolunga, bilkul na tumhe sataunga.
Ho sake to is sab ke liye mujhe maaf kar dena,
ho sake to sara gussa apne dil mai hi dafna dena
Jesa tumhare hone se tha mai vesa ehsaas na kar paya,
jitni thi mohabbat kitni zaroorat thi kabhi bhi na pata paya.
jate jate bhi mujh par tumhara udhaar na utaar paya,
aur jate hue phir ek baar phir se tumhe sataya.
Par ho sake to ek aansu baha dena,
taki tumhe farq na padta phir se mujhe esa lage na
Agar mai kal chala jau to gam na tum bilkul manana,
bas mere naam ke mere pyar ke ek do diye jalana.